khamoshiyon se dosti badha kar to dekho,gumnami ka sapna saja kar to dekho......
khule asman ko ghar bana ke to dekho,chand taron se dil laga ke to dekho........
zindagi tamannaon ka daman chhod khud-b-khud muskurayegi...
gile shikwe ki baatein bas batein rah jayengi.....
__________________________________________________________
aankhein khuli thi,saansein chal rahi thi,dil bhi dhadak raha tha..
ya yun kah lo ki zinda tha main...
par na uzaale ka intezar tha na hi andhere ka dar...
na hi andar jaaati saanson ke bahar aane ka tha intezar.........
na dil mein tha pyaar ka phool aur na thein nafrat ke kaantein..
lamha hi kuch aisa tha ki khud ko bhul gaya tha...
shayad dubte hue suraj se dillagi ki ye saja thi...
dhalti shaam ke saath usne bhi muh mod liya jiske saath
pure din shaam ka intezar kiya......
__________________________________________________________
hamare wajood ki bhi apni dastan hai,zamana to bas apna hi nishan hai...
apne hi nishan ki gulami mein jite,sahi-galat ki jhoothi kahani mein jite....
_________________________________________________________
khatm to zindagi hoti hai,khwahishein kahan khatm hoti hai.....
aakhiri khwahish ka matlab to wai bata sakta hai,jo akhiri saans pe ho....
baakikyon ko to aakhiri saans ka matlab bhi nahi pata hota.........
_________________________________________________________
dil gaaye jaa rahha tha par jubaan khamosh thi....
samajh mein nahi aa rahha tha alfaazon ki baarish kidhar karoon....
ek taraf alfaazon ki baadh se tabah duniya thi......
to dusari taraf alfaazon se anjaan duniya thi..........
_________________________________________________________
samay kaate nahi kat raha tha,ek ghanta paanch ghante jaisa lag raha tha......
haad to tab ho gayi jab roj paanch minute mein khatm hone wala sutta 25
minute tak jalta raha tha....
__________________________________________________________
Artwork Comments