Main waqt leke aaya hun..main shaam cheen laya hun..milo kahin nikal key tum..do char khushiyan laya
hun..thodi si hai hararat bhi thodi si thand laya hun..main tumse milne aaya hun..aao tumhe main
mausam du main baarishein bhi laya hun..thodi si ziddi dhup thi thoda shararti tha samaa..main sabko
mana laya hun ..haan tumse milne aaya hun..milo kahin nikal ke tum nikhar ke tum badal ke tum..aao
dekh lo mujhe main tumhare liye aaya hun..bazaar mein jo bikti hai woh khushiyan badi mehngi
hain..main betahasha aaya hun main bewaja sa aaya hun..tum toh mera naseeb ho tum toh mere kareeb
ho ..main phir bhi chala aaya hun sirf tumse milne aaya hun..jitne sawaal tumhare hain utne jawab laya
hun..main tumse milne aaya haan tumse milne aaya hun..sau tufano ke beech se yeh dil bachaa ke laya
hun ..kab sey tumhare saath hun ..kab sey tumhare paas hun ..sab kuch batane aaya hun ..main tumse
milne aaya hun..safar ki jo thakan thi tumhari muskurahat pe qurbaan thi..main sab bhula kar aaya
hun..main tumse milne aaya hun ( i need no special day time to say "Main tumse milne aaya hun")
kaafi hai duniya jitni nazar mein hai ..karr har shaks yahan kisi fiker mein hai ..dikhao mat aur kuch naya
mujhe ..key abhi purano ka saath kaafi hai ..aao baitho toh sahi baat karo ..dekho ruki hai subaah raat
karo ..kyu darate ho mujhe oonchai sey ..abhi iss dil mein uchchaal kaafi hai ..kahan rukengay yeh dange
fasaad ..abhi mazhabon mein bawaal kaafi hai ... dhoondti phirti ho dhokey naye naye …kaey abhi iss dil
mein jaanwar kaafi hai ..lo dekho ban gai sarkar unki ..yaani qaum parr zulm-o-sitam baaqi hai ..tum
mita sako toh mitaa key rakh do ..key abhi inn nigahon mein aasmaan baaqi hai..jao kya ukhaad logey
shakeeb ka ..key abhi usmein bhaukaal …
Aao kaarnaamo key kaarkhane mein , kuch bhi mumkin hai iss zamane mein,Tut kar pyar karo aur phir
jane do usey, kitna mazaa hai mohabbat ko tadapane mein,jitne din ho yahan dil ko zabaan par rakkho,
jhel jaogay kuch na kuch chupaney mein,chor tum bhi ho aur main bhi hun,ajeeb lutf hai neendo sey
sapne churane mein,Bewaja puuchte rehte ho jeeney ki adaa , zindagi machal rahi hai tere sirhane
mein, har nakaami ki wajah dhund li humne,, kabhie kabhie achcha lagta hai khud ko jhutlaane mein,, Ab
toh husn bhi nanga hai aur ishq bhi,bhul chuke hain key izzat hai sharmaane mein, Jahan rooh rooti hai
sukun paane mein ,maut akser daer karti hai wahan jaane mein,Shakeeb aaya bhi aur chala bhi
gaya....kya farq parta hai uske aane jaane mein .
Tumhare upar itna bojh kyu hai , jo faislon tak na pahunchey woh soch kyu hai , jao udd jao key parwaaz
ho tum , kal key saverey ki awaaz ho tum , tum nahi karte toh yeh hota kaisey , ghaltiyon sey seekhney
ka andaaz ho tum , log tumhe kamtar kyu kar samjhe , khud khadey honey ki auqaat ho tum , tum palat
jao toh dhoka tumse , tum saamne aao toh mauqa tumse , tum seekh jao toh ilm tum ho , zidd parr add
gaye toh baghawat tumse , jao baitho toh sahi baat karo , khud key saath ek mulaqaat karo , tum nahi
miley ho khud sey sadiyon tak , ek baar milkey kuch eijaad karo ...( "Tum" by Shakeeb )
Artwork Comments